Hamen yah kahna ab thik hoga ki kisi bhi swashthya suvidha ko pane ke public transport jaruri hoga. bina public trasport ke ham kahen ki longon ko awashthya suvidha mil jay galat sabit ho raha hai. rajya ko apne longon ko swashthya suvidha muhaiya karane me public transport ek avashyakta ho gayi ahi.
is sambandh men ek study bilaspur jile ke aadivasi ilake men hui mrityu par kiya gaya hai. jisake aakadenon me yah paya gaya hai ki longon ko apni ilaj krane ka 25 pratishat kharcha vahan ke kiraya par karna padta hai. jab bhi kabhi longon ko apni khariddari karne ke liye jana hota ho in mahange transport suvidha ka hi upyog karna padta hai.
udarikaran ke is yug men agar har suvidha ko kharcha aur aamdani se jodkar dekha jayega to kalyankari rajya ki kalpana ka sidhdant to adhura hi rah jayega. jisse aam janta ka sarkaron par se jimmedari hatane ka jimma bhi hatana kaha ja sakata hai
Prafull chandel jss ganiyari
Prafull chandel jss ganiyari